Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tang aa gaye iss bheed se ham, naa jane kab niklen

Tang aa gaye iss bheed se ham,
naa jane kab niklenge isse ham.

intazaar kar rahi hai manzile meri,
raaho me hi atke huae hai ham.


dhoop ki barish me bhig ke yu hi,
na jane kab tak sehte rahenge ham.

hujoom hi hai aek sar pe maslo ka,
na jaane kab piyenge ghunt sohrato ka,

Raanaiyaa bahot dekhi khyalo ki,
Na jaane farsh pe kab layenge ham.

Tang aa gaye iss  bheed se ham.

sulag rahi hai zindagi aatish-e-ishq me
guzar rahi hai  khalish zahen-o-zindagi me
baharo se nahi hai rabta iss hayaat me
na jaane kab paayenge isko  ham.
na jaane kab tak sehte rahenge ham.

tang aa gaye iss bheed se ham.
na jaane kab niklenge isse ham.
©adnanfarooq #nojotohindi #nazm #nazam #tang #song #tst
Tang aa gaye iss bheed se ham,
naa jane kab niklenge isse ham.

intazaar kar rahi hai manzile meri,
raaho me hi atke huae hai ham.


dhoop ki barish me bhig ke yu hi,
na jane kab tak sehte rahenge ham.

hujoom hi hai aek sar pe maslo ka,
na jaane kab piyenge ghunt sohrato ka,

Raanaiyaa bahot dekhi khyalo ki,
Na jaane farsh pe kab layenge ham.

Tang aa gaye iss  bheed se ham.

sulag rahi hai zindagi aatish-e-ishq me
guzar rahi hai  khalish zahen-o-zindagi me
baharo se nahi hai rabta iss hayaat me
na jaane kab paayenge isko  ham.
na jaane kab tak sehte rahenge ham.

tang aa gaye iss bheed se ham.
na jaane kab niklenge isse ham.
©adnanfarooq #nojotohindi #nazm #nazam #tang #song #tst
adnanalif1051

Adnan Alif

New Creator