Hai shor bahot andar daba hua, Khamoshi khadi mehfil me hai. Malaal hai ke kuch kaha kyu nahi, Na samjha pane ka afsos is dil me hai. Samandar sa shant hai sab kuch bahar, Tanaav daba para hai kaafi andar, Har guzarta waqt thoda dur le jata hai, Dusra lamha wapas uska khayal le aata hai. Jaha kuch milne ki ummeed nahi hoti, Wahi sab kuch paane ki ummeed rakhta hai. Apni marzi se paas aa jana, fir dur chale jana, Aisi ajib si khubi mere qaatil me hai. Thora sa karib hokar kafi dur hu, Galatfehmiyon me main kafi mashur hu, Jaha kahe ka kuch suna aur samjha jata hai, Khud ke na samjhe lafzo se daba hua mazdur hu. Kuch zyada ki guzaarish kar li shayad, Tabhi to zindagi ab thori mushkil me hai. ©Ananta Dasgupta #anantadasgupta #pinterest #restless #nightquotes #incompletelove #One_sided_love