Nojoto: Largest Storytelling Platform

CORONA KI WABAA #ghut ghut ke jite hain, jo the k

CORONA KI WABAA

#ghut ghut ke jite hain, jo the kabhi shaan-o-shaukat meiñ,
#guzarti hain ab to raatein bhi aalam-e-wahshat meiñ;
#qaid ho kar jite hain apne hi gharon ke andar,
#kya pataa hameiñ, ke yeh bhi likha tha apni qismat meiñ;
#band paraa hai shahar ka shahar aur dukaaneiñ bhi,
#kuch tarkeeb nazar aati nahi, ke kya kareiñ aisi soorat meiñ;
#band hain woh sarakeiñ, woh karkhaane, woh imaarteiñ bhi,
#shumaar tha kabhi jinka, yahaañ ki zeenat mein;
#kis qadar phaila hai yeh marz corona ka har taraf,
#iss se beemar huye bahut, kayi to pahunch gaye turbat meiñ;
#aur yeh jo aafat hai insaanoñ ne hi to bulaayi hai,
#chalaa tha naadan karne tabdeeli nizaam-e-qudrat meiñ;
#nahi maujood koyi ilaaj iska, haan!! kuchh ehtiyaat kijiye,
#aur hargiz na nikaliye ghar se tafreeh ki ulfat meiñ;
#aakhir mein dua-go hun uss zaat se, jisne jahaañ banaya,
#madad kar har kisi ki, phaseiñ haiñ jo bhi museebat meiñ;
#fahad jo likhe jaata hai asha'ar ulajh kar apni sochoñ mein,
#nahi hamein koyi bhi shak, uske iss fann ki azmat meiñ;

(FAHAD) #POEM_CORONA_KI_WABAA
#EPIDEMIC_OF_CORONA
#STAY_HOME
#STAY_SAFE

don9444370961234

Fahad

New Creator