Beti ko devi ka roop kahne wale aaj chup hain. Navratri me no din vrat rakhne wale aaj chup hain. Gaay ko ma ka maan dene wale aaj chup hain. Bejan Jami ko matribhoomi kahne wale aaj chup hain. Kahan gyi ma chamunda jisne utha khappar dusto ka sanhaar kiya. Kahan gye sudarshan dhaari jisne bhari Sabha me dropti ka maan dhara. Kanth me garal samete huye shiv aaj tandav kyu nahi karte. Pag Pag me rakshash bethe hain jagdees tum Ram roop kyu nhi dharte. Nanhi fool si pariyo se khilne ka hak cheenne wale. Insaan hokar bhi janwaro sa gost nochne wale.. Tere kritya se sharmsar aaj dharti hui hai. Tune hewaniyat ki sari hade aaj Chui hain. Ab koi bhi ma beti shabd se karah jayegi.. Prasav ka ab dard hai chota vo ye dard sah na payegi. Sab agar bete chahenge... To bete kaha se aayenge... Bin beti ban dulha hum baraat kaha le jayenge. Bachho k liye khud ko luta dene wali ma kaha se layenge. Nar ho to naari ka hardum samman karo. Ban beta kabhi bhi beti ka yun na apmaan karo.. jannat ma k charno pe yuhi na bhagwan ne banayi hai... Ek ma me hi ye sari srasti samayi hai.