Guzrai huai kl ko hrgiz nhi bdla ja skta..lkn apnai maazi ko bais-e-sharmindagi smjhnai k bajai us sai seekha ja skta hai,apnai maazi pr afsoos krnai k bajai apnai haal ko khubsurt bnaya ja skta hai apnai maazi ko zehn mai rkhtai huai apna haal or mustakbil ko behtr bnaya ja skta hai.Hum sb insaan hain or khataon ka putla hain ,to un ghltiyon ko apni soch sai mitanai ki koshish krnai k bajai un sai sabak seekho or maazi mai reh kr apna haal or mustakbil barbaad mt kro Jo guzr gya wo guzr ab wo yaad hai,ab wo aik guzri hui kahani hai,ab wo humara guzra hua kl hai,ab wo sirf mazi hai or kuch nhi,ab wo aik purani kitaab hai jis mai humari gltiyon k bare mai likha hai or ab usai wark wark prh kr sabak hasil krna hai na k us sai chutkara pana hai