#OpenPoetry Sikkon ki khanak nhi , ab use noton ki garmi bhaati thi ,haan ye wahi ladki thi jo apni mehnat se paise kamaati thi .. par sikke ab use bhaar lagte the aur note use pyar lagte the .. Ab wo shauk se nhi majboori se kamati hai , raat ki chandni main jaane kya bech aati hai .. anmanni si ghar aa khana bnati hai , khud bina kuch khae bas zameen pe so jaati hai .. Ab use sikkkon ki khanak nhi noton ki garmi bhaati hai ..