Suno, Kya sunoge tum bas meri nigahon ko, Bina mere lab khole, bina koi kahani bole? Ya phir sun liya hai tumne wo jo maine kaha hi nahi? Yun to dil ke tukde hain hazaar, Dil ke dar o deewar se rissta hai har zakhm, lekin main aksar sochti hoon kya tum jhaank kar andar aane mein marghoob (interested) hoge ya jhaank kar faraar to na hoge? Ye dil ek weeran imarat hai jo islaah (repair) nahi tumhari rafaqat (company) chahta hai. Ye sunna chahta hai ki ye weeran imarat ab bhi shaad ho sakti hai. Kuch naqsh hai ab bhi jinka nishaa'n mitaya ja sakta hai. Zarar (loss) bada hai magar buniyaad ab bhi qayam hai. Suno, Kya dekhoge tum bas mujhko aur kahoge mujhse ye muskaan hasee'n to hai magar makhsoos nahi. Haan makhsoos kuch hai gar to ye zakhm jo tumne haasil kiye hain, odhe nahi. Ya phir jaante ho tum ki mera dikhna aur hona mukhtalif hai. Shayad maloom hai tumhein meri nazmein mere khayalon ki Parda poshi karti hai. Shayad maloom hai tumhein ye Hansi Lahaasil azmaish hai khudko khudse chhupane ki. Kya kahoge tum mujhse apna mukhauta utaar aaina dekhun main aur dekhun faqat khudko ki main Rukh e aeza (face of pain) hoon — Shagaafon (crack) sa, Kharaashon (scratch) sa — Kharaash jo Dilkash hai, Mohabbat hai. @Kayenat Kamal. #kayenatdiaries #peace