Kisi ko maar kar Koi jashan manaa raha hai Koi khud ko haar kar Dusru ko khush kar raha hai Jall raha hai watan mera Koi is par bhi mazeey uda raha hai Kisi ne jawaan bete ko kho diaa Kisi ke sir se baap ka saaya uth gaya Koi khoon ki holi khel raha hai Koi yeh sab sirf paisu ke liye karr raha hai Koi apni kursi ko jamm ke pakad baitha hai Koi dusru ko tabah karke abaad horaha hai Har taraf se bas insaan hi barbaad horaha hai Galat insaan hai,galti ka shikaar nirdosh ko bana raha hai Mere ghar ko dekho wo kaise jala raha hai Maine padha tha kitabu mai insaniyat ke sabak Magar insaniyat ko insaan hi dabaa raha hai Ujadh kar basti ,insaan paisu ke liye hi yeh sab karta hai Mout toh taii hai har ek hi yahan Phir kyun insaan is manzaar ko bhool raha hai Maa ki goudd ujaad kar,mamta ki sadda laga raha hai Khooni bhi khud, Faisla bhi khud hi sunna raha hai Dafan kar k dusru ko,apni lambi zindagi ki dua maang raha hai Mai awaaz uthaon zulum par,toh bulate hai mjhe aatangwadi Mai bardasht karoun,toh mazzey se mere sitam bada raha hai Kab khatam hogi ye khoon ki holi Kab insaan sudhar jaayega, Har din dil yehi sadda laga raha hai Ghar se bahar nikalna bhi dushwaar hogaya hai Mere watan mai dekho kya kya horaha hai #NojotoQuote #killings #urfquotes #life #destroyers