ḳhushbū kī tarah saath lagā le ga.ī ham ko kūche se tire bād-e-sabā le ga.ī ham ko patthar the ki gauhar the ab is baat kā kyā zikr ik mauj bahar-hāl bahā le ga.ī ham ko phir chhoḌ diyā reg-e-sar-e-rāh samajh kar kuchh duur to mausam kī havā le ga.ī ham ko tum kaise gire āñdhī meñ chhitnār darḳhto ham log to patte the uḌā le ga.ī ham ko ham kaun shanāvar the ki yuuñ paar utarte sūkhe hue hoñToñ kī duā le ga.ī ham ko is shahr meñ ġhārat-gar-e-īmāñ to bahut the kuchh ghar kī sharāfat hī bachā le ga.ī ham ko ©Mohd Arsh malik poet Irfan siddiqi #Thoughts