jise na kadi dhup se fark padta ho na dhul bhari aandhi se fark padta ho jiske liye har din ek jaisa ho jo har roj mehant ke nashe me rahta ho wo koi aur nhi majdoor hota hai chane kha kr bhukh mitata ho jo pairo ke chhale sahne ka hausla rakhta ho jo parvat ko chor kr raaste banata ho wo koi aur nhi majdoor hota hai jo khawabo ko bichhauna bna kr aasma ki chadar odhe sota hai jo apne paseene se sich kr is mitti ko sona banata hai wo koi aur nhi majdoor hota hai jo apni mehnat pr kabhi abhimaan nhi karta.... wo koi aur nhi majdoor hota hai... world labour day ©annu #worldlabourday