Poochhega tujhse roz-e-mahshar jab Khuda Kya kiya tune meri ne'maton ka ae insaan zara bata Guzaar rha jo ye bemaqsad zindagi tu yahan Hoga kya jawab tera us zaat ke samane ae insaan zara bata Hai khabr tujhe ji raha hai jo tu ye bas ek safar hai Manzil to akhir teri Do gaz ki qabar hai fir kyu itna befikar hai Kisi na kisi maqsad se kiya hai tujhe usne wabasta Fir kyu nhi karta hai tu muqammal use Hashr ke din kaise karega tu samna uska ae insaan zara bata Kisi ke yahan jaate hue bhi tohfe sang le jaate hain Tu le ke us Rab ke saamne kya jaayega ae insaan zara bata Hai nhi aamaal tere is qabil ke tu unpe fakhr kar sake To kyu na kuch nekiyon ka hi bandobast karle Ke khali hath kaise jayega ae insaan zara bata #khuda #amaal #yqqoutes #yqbaba #newwritersclub #yqbhaijan #yqdidi #urduquotes