Jeetane ki bookh unme bhi thi bahaut, per humne duaoo ke parchee per khuda ki sifarish le aaye the. Hum khaawisho ki chadar me sapno ki gathari bandh aaye the. Hum jhukti hue har aakho ko, ek sapna dekar aaye the. Hum suraj ki tapti dhoop me aapne aansoo shukhakar aaye the. Hum logo ke badalte hue Masiha ke chehre ko aapni ek tasveer de aaye the. Hum har ek insaan ke dua per aapna naam likhkar aaye the. Hum taqdeer ke haatho per aapni ek lakeer kheech aaye the. Hum apni manzil ki khushiyo ko apna pata dekar aaye the. Hum andheri raat ko hamare sapne dekar aaye the. Hum hamare sapno ko haqeekat ka aayina dikhakar aaye the. Hum tootate hue taaro ko aapne haato ki lakeero pr sajakar aaye the. Hum waqt ke saath daud laga kar aaye the. Hum aapni harr ko aapni jeetane ki daawat dekkar aaye the. Hum aapne kismat ki keetab me ek aur jeet ki shaam likhkar aaye the. Jeetane ki bookh unme bhi thi bahaut, per hum duaoo ke parchee per khuda ki sifarish le aaye the. #HindiShayari #khuda #Love #Jeet #Poem