Aadmi ho ya ho aaurat Dono hi ek samaan hai Aadmi ka ho ya ho aaurat ka ho Dono ka hi apna swabhimaan hai Dono hi ma ki kokh se janmi uski Santaan uski aaulad hai Dono ka hi apna lakshya apne Armaan Hai Dono hi shadi ke bandhan Mein aadhe aadhe hissedaar hai To Phir kyo, Kyo sehti hi Sirf aaurat atyachar hai Aadmi ka ghr ho ya sasural uska alg hi rutba uska alg hi samaan hai Aaurat sasural Mein dabke rehkti, mayke Mein Bhi sikhate usko sasural ke sistachar hai Aadmi ki tej aawaj uske bal ki pehchaan hai vhi aaurat ki tej aawaj uske avgunno ka khadaan hai Aadmi ka pehnava pe na koi rok na hi tok ka saya hai vhi aaurat ke pehnave pe apni rai apne tanjo ka krta har koi aadan pradaan hai Tum aaurat ho tumko sobha nahi deta ye kaam , to Phir Kyo vhi kaam aadmi ke liye hai bohot hi aam Samvidhaan Mein sbhi ko apne hisab se jeene ka adhikar hai bina bedh bhav vo sabhi manusyo ke liye ek samaan hai To Kyo, Kyo, Kyo ye samaaj sikhata btata samjhata aaurto ko befijul ke antar bina sir paer ke sistachar hai. Glti khi na khi aurto ki to hai, beti ko to khoob sikhati ab padana apne bete ko samanta ka path hai. Khud ke liye ab khud ko hi aaurto ko aage aana hai Aadmi se har chej Mein samanta ka haqdaar khud ko banana hai #tourgurugram