Nojoto: Largest Storytelling Platform
naveensingh4350
  • 6Stories
  • 3Followers
  • 32Love
    0Views

naveen singh

working as a business operations associate who loves experiencing new things, who is quite observant, love to give words to my thoughts through my write-ups, a cook and an optimistically jolly person

  • Popular
  • Latest
  • Video
19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

Naari hi shakti hai.. 
Naari hi hai samman
Naari se hi zindagi hai..
 Aur naari se hi jaan
Naari me basi ye duniya..
 aur naari se hi praan
Naari se shuru hai imaan 
aur naari pe hi ant ho 
har ek ka abhimaan..

~naveen singh Happy international women's day.. #poem#women#womensday#power#strength#mom#sister#wife#love

Happy international women's day.. poemwomenwomensdaypowerstrengthmomsisterwifelove

19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

Rang badalti is duniya me
Mujhe mera berang hona pasand aaya
Bandhe haanton Ko choot ta dekh
Mujhe mera mere sangh hona pasand aaya
Saath toh manja bhi nahi deta hai dhaage ka
Isi baat Ko soch,
mujhe wo kati Patang hona pasand aaya
Ajeeb si chinta me dube in logon Ko dekh
Mujhe mera mast malang hona pasand aaya
Badi hi thehri si thi ye zindagi yaaron
Par us zindagi mein mujhe mera 
man-e-tarang hona pasand aya
Kehte hain sab, 
ki kitni zaalim si hai ye dunia ...
par sach bataun toh
Itni "seedhi" "saadhi" si duniya me....
Mujhe mera bedhang hona pasand aaya
Is duniya se mujhe,
mera tangh hona pasand aaya
Is duniya me dusron se ladne se zyaada
Mujhe mera mujhse wo jung hona pasand aaya
Rang badalti is duniya me.. 
Mujhe mera berang hona pasand aaya.. 
Rang badalti is duniya me..
Mujhe mera berang hona pasand aaya.. 

~Naveen Singh Holi Special...Rang badalti is duniya me mujhe mera berang hina pasand aaya #holi#people#color#poem

Holi Special...Rang badalti is duniya me mujhe mera berang hina pasand aaya holipeoplecolorpoem

19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

Un timtimaate taaron Ko dekh
Yunhi zehan me ek sawal aaya
Un sawalon Ko tatola 
To ek dhundla sa khayal aaya
Us dhundhle khayal me chupe chehre par 
Anjaane hi pyaar-e-bimesaal aaya
Khayal bas itna sa tha 
ki kiska intezaar hai tujhe
Aakhir kissey pyaar hai tujhe?
Us raah guzar ke pyaar ki ya uski 
Jo saal dar saal aaya
Khayalon me gum..Gumnaam khayalon se Nikla 
Toh kisht-e-behal aaya
Behaaliyat me doobe Dil Ko samhjaya 
Toh dilkash-e-malaal aaya
Un timtimaate taaron Ko dekh 
Yunhi zehan me ek sawal aaya

~Naveen Singh Dhundhla sa khayal#poem#Taare#bemisaalpyaar

Dhundhla sa khayal#poemTaarebemisaalpyaar

19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

JAB THA MAI MAA KE KOKH ME TOH SOCHTA THA 
KI CHAND DINON ME YE JAHAN APNA BANN JAYEGA..
PAR KAASH SOCHA HOTA KI IS JAHAAN KA APNAPANN
MEHEZ EK SAPNA BAN JAYEGA..
BACHPAN ME JAHAN HAR CHOTI CHEEZON ME
KHUSIYON KO DHOONDHA KARTE THE HUM
KAASH SOCHA HOTA KI CHOTI SI KHUSHI PANA BHI 
MEHEZ EK SAPNA BAN JAYEGA...
SUNA KARTA THA BACHPAN ME..KI KOI APNA PARAAYA, 
AUR PARAAYA APNA BAN JAYEGA...
PAR KAASH YE SOCHA HOTA KI PYAAR PAANA APNON KA 
MEHEZ EK SAPNA BAN JAYEGA...
BACHPAN ME IS SOCH SE JEETE THE KI JO TERA WO MERA, AUR JO MERA WO TERA BANN JAYEGA...
PAR KAASH SOCHA HOTA KI WO WAQT AYEGA JAB DO BHAI EK DOOSRE KE JAAN KA DUSHMANN BAN JAYEGA...
SOCHTE THE KI APNE SAPNON KO POORA KARNE GHAR SE DOOR JAYENGE HUM..
PAR KYA PATA THA KI EK DIN GHAR JAANA HI 
MEHEZ EK SAPNA BANN JAYEGA...
BACHPAN ME JIS AKELE PANN SE DARR KARR DOOR BHAAGA KARTE THE HUM
KAASH  SOCHA HOTA KI YE AKELAPANN HI EK DIN APNA BANN JAYEGA..
AUR ZINDAGII ME SAB KUCH MEHEZ EK SAPNA BANN JAYEGA...
AUR ZINDAGI ME SAB KUCH MEHEZ EK SAPNA BAN JAYEGA..

~NAVEEN SINGH Mehez ek sapna.. #poem#life#dreams#sapne#apne.. To all those who are fighting their battle alone.. To all those who are far away from their homes.. To all those who believe in dreams.

Mehez ek sapna.. poemlifedreamssapneapne.. To all those who are fighting their battle alone.. To all those who are far away from their homes.. To all those who believe in dreams.

19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

Tum ab meri aakhri Mohabbat si lagti ho
Jissey chutne se darta tha, Wahi Chuthti aadat si lagti ho
Mere Pagalpan me mere ishq-e-shahadat si lagti ho
Chup ke dekha karta Hun tujhe, toh sahi salamat si lagti ho
Thodi Sharafat si toh thodi shararat 
si lagti ho
Meri darti dhadkan Ko tum ab bhi Qayamat  si lagti ho
Tum ab meri aakhri mohabbat si lagti ho
Tum ab meri aakhri mohabbat si lagti ho

~Naveen Singh Meri aakhri mohabbat#love#mohabbat#life#ishq

Meri aakhri mohabbatlovemohabbatlifeishq #poem

19d0f7f5e801df9a006825020995ca17

naveen singh

Aaj waqt aaya hai..
jee bhar ke pyaar karle
usey bata..jaa..izhaar karle
kya pata wo bhi baithi ho tere intezaar me
ussey jaakar ishq tu beshumar karle
aaj waqt aaya hai
jaa firse pyaar karle

~Naveen Singh Aaj waqt aaya hai jaa firse pyaar karle #valentinesday#firstpost#loveagain#liveagain

Aaj waqt aaya hai jaa firse pyaar karle #ValentinesDay#firstpost#loveagain#liveagain #poem


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile