Nojoto: Largest Storytelling Platform
najninahmed6927
  • 87Stories
  • 326Followers
  • 927Love
    32.2KViews

Najnin Ahmed

writer,poetess,doctor to be...

  • Popular
  • Latest
  • Video
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

White  Ak aadhi zindagi tarasti rahi
aazmaishe sirf mujhe hi kuyn ?
Sab ki zindagi itni asan fir sirf mai hi kuyn ?

Nazre ghumai to dikhi
wo cheekhe,wo aasu,wo tadap 
joh maine kabhi dekhna hi nehi chahi
joh mujhse bhi he bari takleef me
kya usne kabhi bola sirf mai hi kuyn?

Fir kuyn thori si takleef me 
main Shukar karna bhul jati 
'isse bhi to aur battar ho sakti thi halat'
kabhi aisa kuyn nehi sochti..
he iman ki kamjori meri 
to kuyn na socha kabhi 
Mera Rabb se jyda to 
koi nehi chahta mujhe...

sabr itni muskil kuyn lagta tujhe
iman walo ko dekha bhi kar kabhi
Allah ke rahem se mayus hona nehi
Tawakkul kar wo he sath teri...

©Najnin Ahmed #GoodMorning #iman
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

White   Maine sor diya he ab safai dena kisiko
seh leti hu teekhi baatein sabhi,
palatke jawab dena bhi jaroori nehi samjhti
kuynki ab main jan gyi hu,
agar log ak dusre ko itna hi samajh pate 
To hum kabhi uparwale se kuch mangte hi nehi...

©Najnin Ahmed #sunset_time
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

Mere maula tu mujhse raaji ho jaa
meri har khata ko maaf farma

jitna bhi bhag lu tujhse magar
ish dil ki haal sirf tujhe maloom hein
Meri sari duao ki tu ummeed nehi yakeen he
Ya Allah,mujhe tere ibadat ke taufeek se nawaz de

©Najnin Ahmed #sunrisesunset
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

ak jamana humara bhi hua karta tha
jab hum school jate the 
To wapas ghar lautna nehi chahte the,
Dosto ke sath khelte the kudte the
aur aaj Kal ke bascho ke tarah
mobile me game nehi khelte the

Wakt ascha tha yaar,agar kabhi 
school nehi jate the to dost ke note ghar late the
aur pura ak din rakhke dusre din hi lautate the
aur aaj kal ke jamane ke tarah 
notes photos aur documents banake nehi bhejte the...

agar baatein lambi hoti thi to hum dost milke
gappe khatam karke hi ghar ate the
hum na ak dusre se call na text pe baat kar pate the
bas intezar karte the dusre din kab ane wale he...

hum class me piche baithke chup chupke baatein krte the
aaj ki tarah class me reels scroll nehi karte the
kabhi camera dikhta tha to ak photo ke liye pagal ho jate the
aur aaj kal bascho ke pas photos to bhot hote he
par yaadein sirf photo tak hi simit reh jate hein

kitna badal gya he na jamana,
wo bachpan tha jise hum jeete the 
aur aaj kal logo ka bachpan he
joh bas ak smart phone tak guzara he..

©Najnin Ahmed #Apocalypse
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

bench Apne galtiyon se guilt feel hona bhi lazmi hein
khudko dubara mauka dena afzaal hein,
Hein zaroori sikhna khudko maaf karna
fir galtiyo se sikhke sudhar jana,
tabhi to hoga aasan dusro ko maaf karna..

©Najnin Ahmed #Bench #guilt #aehsas #Maaf #Sikha
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

kya hi ho jayega
agar aapke pas jayda kapre nehi he
aur aap ak kapra dubara pehente he
ya fir apke kapro me koi brand ka logo nhi laga he..

kya hi ho jayega agar 
apke pas i phone nehi he to
kya dusre ke jaisa i phone ka na hona
apke insaniyat me dabaw dalega ?

To kya hua aapke pas bike nehi he
Aur app apne dost ki tarah bike leke nehi ghum pate 

aisa kuyn nhi sochte 
aap paisa zaroorat se jayda kharch nehi karte,
Bap ko boj na dalke koi aschi kam kar rhe he,
sare shok apne paiso se puri karna chahte he
ya fir agr apke khudke paiso se nhi kar paa rahe
to jayda se jayda kya ho jayega kuch din aur lagenge apne shok puri karne me..

kya hua agar aap middle class he to
joh chiz shiddat aur lambi sabr ke sath milta he
usko pane ka khusi kuch alag hota he
aur ye bas middle class logo ko  pata hota he.

©Najnin Ahmed #Travel #middleclassfamily #MiddleClass #Life
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

maine logo ko takleef me sath sorte dekha he
maine yeh bhi dekha he
Allah kaise apni parchai se mehfuz rakhta he
Bas ak bar use pukarne se...

©Najnin Ahmed #allah
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

"MAA"
kaise bayan karu main teri tarifein 
Alfaz kam par jayenge Maa ..
Kaise Sukhriya karu Rabb ka
Jisne mujhe teri Aulad banaya hein...

Meri khatir tera wo raat raat jaghna,
Har din meri pasand ki khana banana
Meri har chahat ko puri karna,
Khud takleef sehke bhi,
tune mujhe mehfuz rakha...
Shuna hein teri paw tale jannat hein
Par kaise main sari hisap lotayungi,
Teri aehsan ke palle joh hein itna bhari ..

Teri bholi surat,teri chehre ki muskan
Kafi hein maa jeene ke khatir,
Tu joh bolti he tujhe English nhi aati
par hume tune hi to English parna sikhya, 
Maa ab tu meri jimedari hein,
Umar ke sath tu banti jaa rehi hein bacchi
Bas ab bari hein meri teri Maa banne ki ..

©Najnin Ahmed #MothersDay #maa
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

Mujhe Tumhari Briyani ka masala banna hein
Tumahre pasand ki halwa ka mithas banna hein,
Tum bas meri pani puri ki imli ka taste ban jana,
Main tumhare dard mein bhi hasne ka wajah ban jayungi...

©Najnin Ahmed #Rose
39de5c412692d026efbc6cf66e8ba4c6

Najnin Ahmed

Baaz dafa humne galti kiye hein,
Thokare bhi bhot khaye hein,
khudko bhulaya hein zamane ke liye ,
par aaj sirf khudke liye jeete hein...

Galtiyo ne hume sudhara hein,
wakt ke sath halat ko parkhna sikhaya hein,
Sukr guzar hein hum us Rabb ka 
jisne hume galtiyo ke bad bhi samhala hein...

©Najnin Ahmed #alone #Galati
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile