Nojoto: Largest Storytelling Platform
huzaifasiddiquid7736
  • 12Stories
  • 56Followers
  • 69Love
    0Views

Huzaifa Siddiqui "Danish"

अहबाब को दे रहा हूँ धोका चेहरे पे ख़ुशी सजा रहा हूँ.

  • Popular
  • Latest
  • Video
4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahii.N Sakataa
Meraa Javaab Kahii.N Se Tuu Laa Nahii.N Sakataa
Hazaar Parde Bhii Daalo Agar Banaavat Ke
Dilo.N Kii Baat Ko Cheharaa Chhupaa Nahii.N Sakataa
Banaa Diyaa Hai Zamaane Ne Dil Ko Patthar Kaa
Sataaye Ko_ii Bhii Mujh Ko Rulaa Nahii.N Sakataa
Hasiin Taaj Mahal Ke Banaane Vaalaa Bhii
Dilo.N Ke Tuute Gharau.Nde Banaa Nahii.N Sakataa Sukhanfarosh

Sukhanfarosh

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi Aadmiyat

Aadmiyat

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

2 Years of Nojoto "zindgi" tum, yahin kahin rehna.
main zamana badal k aata hoon.. .. Be nateeja

Be nateeja #Shayari

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

#2YearsOfNojoto Chalo muhabbat ki nayi bunyaad rakhte hain.
Khud paband rehte hain tumhe azaad rakhte hain.
Hamare khoon main Rab ne taseer aisi rakhi hy.
Buraiyan bhool jaate hain achaiyan yaad rakhte hain.
Ye soch kr gustakhi na ho jaye muhabbat mein.
Is liye apna har Qaddam tere Qaddam k baad rakhte hain. Virsa
4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

#OpenPoetry कितने ही शायर गुज़रे तारीख़ में सब गुमनाम हो गए
रूह आज भी चाहे ज़िंदा हो पर जिस्म बेनाम हो गए

मिला है मौक़ा हर किसी को ख़ुद के संवरने के लिए
सुबह के सूरज ना बन सके तो चराग़-ए-शाम हो गए

इतनी आसानी से हासिल नहीं होती हुनर की बुलंदी 
चलते रहे मुसाफ़िर कि ज़माने के लिए पैग़ाम हो गए

मिल नहीं पाती है तवज्जोह दरिया में हर क़तरे को 
कितने ही आपस में मिल कर हुजूम-ए-आम हो गए

बदलते रहते हैं चेहरे ज़िन्दगी के वक़्त की मौंजो में
ख़ुशी के अंजुमन से टूटे तो ग़म-ए-अय्याम हो गए

बदलती नहीं है फ़ितरत चाहे इन्सां तबाह हो जाए
मेरे खुशी के अश्क़ भी रंज-ओ-ग़म आलाम हो गए

किन किन हालातों से गुज़रते हैं 
हिज्र सोचा भी न था कि फ़िराक़ के अंजाम हो गए

मिल ही जाती है जगह मकां में हर किसी को 
जो दहलीज़ के ना हो सके वो चराग़-ए-बाम हो गए #OpenPoetry
4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

जिस को ख़ुश रहने के सामान मयस्सर सब हों, 
उस को ख़ुश रहना भी आए ये ज़रूरी तो नहीं.

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Dukh De Kar Sawaal Karte ho,
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho..
Dekh Kar Puchh Liya haal mera,
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho..
Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi,
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho ???
Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko ?
Her Sitam Be-misaal Karte ho….. Bijuna Guriya Kumari Shikha Thakur Aadarsha singh

Bijuna Guriya Kumari Shikha Thakur Aadarsha singh #Shayari

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai Daur-e-mohabbat

Daur-e-mohabbat #Shayari

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Nazam uljhi huyi hai,
seeney mein,
Sher atkey huye hain,
honton per,
Lafz kaaghaz pe bethtey hi nahin,
Urrtey phirtey hain titliyon ki tarah,
Kab se betha hua hon main,
janam,
Saada kaghaz pe likh ke naam tera,
Bass tera naam hi mukammal hai,
Iss se behter bhi nazam kya hogii.. Nazm Dilon ki

Nazm Dilon ki #Shayari

4996a35b6444f14e85d15c125669e4d2

Huzaifa Siddiqui "Danish"

Ranjj hai ya be’basi hai,
Jo bhi hai musalsal hai.. Musalsal

Musalsal

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile