Nojoto: Largest Storytelling Platform
vasundhara4701
  • 1Stories
  • 3Followers
  • 4Love
    0Views

Vasundhara

  • Popular
  • Latest
  • Video
624eac5b3debd06391c0649a5debfe14

Vasundhara

Baat kuch saalo puraani hai magar mujhe aaj bhi vo burkhe k peeche ki bhoori aankhe saaf yaad hai. Aankho mein kuch sawaal, sawaal insaniyat se. darasal mere ghar se 3 makaan door ek khala rehti thi jo roz paune do baje apne chautre par bahar aati, haath mein ek khilaune wali gadi liye, uspe jami dhool ko apne burkhe ke kone se saaf karte hue aur seene se lagaye us gaadi ko mano kisika intezaar karti aur thik dhai baje vapas andar laut jaati. Din ke bas un 40 min mein unka deedar hota, mohalle mein nayi thi toh shayad isiliye andar hi rehti thi.  Maine kai dafa yehi 40 min ka silsila apni chhat se dekha, lekin ek din mujhse bardasht nhi hua aur apne sawalo ka jawab dhoondhne mai seedha unke chautre tak jaa pohochi, vahi paune do baje. “baat kya hai khala? Aap roz yaha kiska intezaar karti hain?” vo jhhat se boli “humare shehjaade amir ka”. Ye sunte hi mere mann mein sawalo ka bhavandar khada ho utha, kon amir, kaha h amir, kab ayega. Maine koshish ki poochne ki magar unki aankhe keval amir ko talash rahi thi aur meri baato mein unhe shyad koi dilchaspi nahi thi. Bhot koshisho ke baad vo akhir taiyaar hogayi batane ko ki “amir kon?” 
“16 december 2014, amir jaan ki satvi salgirah thi. Shehjaade ki farmaish thi ek nayi khilaune wali gadi. Salgirah se ek roz pehle bhot zidd ki, itni ki gadi na milne par subah school jaane se bhi inkaar krdi “ammi, hum school nahi jayenge, jab tak humari gaadi nahi ajati, hum yahi rahenge” lekin fir roothe amir jaan ko manane ki anginat koshishe shuru hui. “beta zidd nahi karte, abh aap bade ho gaye na, thodi samjhdaari dikhaya karein, ghar vapas aate hi aapko gaadi milegi. Pakka vaada” school bus ki awaaz aai aur amir jaan acche bacche ki tarah apna bag, bottle tang kar aur joote pehenkar bus ki aur bhaage. Amir ko sewaiyan bhot pasand thi, toh us roz hum sewaiyan banane ki taiyaari mein lagi the. Hume khaana banate hue radio sunne ka shauk tha. Jaise hi cheeni ka dabba haath mein lia, radio par gaana bajna band hua aur ek khabar aai ‘peshawar ke army public school pe hua talibani hamla, kareeb 100 masumo ki gayi jaan aur kai hue ghayal’. Sunte hi humare haatho se cheeni ka dibba gira aur mano zameen khisak gayi. Tabhi darwaze par dastakh hui aur humne ghadi ki aur dekha. Abhi toh paune do bhi nahi baje the, amir ke aane ka time nhi hua tha fir darwaze par kaun aaya hoga. Aisa laga humare pair jam gaye, darwaze tak jaana ek jang nazar aa raha tha. Jaise taise darwaze ki aur badhe, khola toh hari vardi mein ek fouji khade the. Unke haatho mein ek bag, ek bottle aur ek joota. Khoon se lathpath.  Us roz humare amir jaan school toh gaye, magar vapas aaya toh bs ek bag ek bottle aur ek joota. Tab se hum roz yahin baithkar unka intezaar krte hain, hume pata hai ki ek roz vo jarur lautenge, vo sirf humse naraaz h. ek roz vo jarur gaadi dekhkar apni ammi jaan ko bhaagkar seene se laga lenge.”
Us din mujhe ehsaas hua ki ek aur hum jaise kuch log hain jo mehez wakt kaat rahe hain aur ek aur khaala jaan jaise log jinki zindagi bs ek hi arzoo mein nikal jati h. unke paas kuch na hote hue bhi jeene ka sabse bada maksad tha. Ek chah thi ki shayad kuch din aur jee loon toh amir jaan laut aaye. Vo taarikh jo shayad na apko yaad thi aur khaala jaan se milne se pehle na mujhe, vahi Tarikh kisi ki zindagi ka sabse kadva sacch ban gayi. Us din mere andar itna dard bhara ye soch kar kin a jaane aisi kitni khala jaan hain jinke amir abh kabhi nahi lautenge. #Khalajaan #nojotocuttack #imagism


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile