Nojoto: Largest Storytelling Platform
khwabeeda2419
  • 3Stories
  • 7Followers
  • 11Love
    0Views

Khwabeeda

Discovering a joy to behold through processing my pain🌻

  • Popular
  • Latest
  • Video
8bfa87498cac0863a592e533f370e47d

Khwabeeda

Itne waqt ke intezaar ke baad aaj woh lamha aaya hai jab iss dil ne jubaan se kuch khoobsurat sa afsaana bayaan kiya hai

Ab sach mai uski doori se darr lagne lagaa hai,
Khwabon mai uska aana ek khoobsurat si subah ka wajah ban gaya hai,
Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone lagaa hai.

 Usi se baat karne ke liye dil sirf tareeke dhoondta hai,
Zindagi ke bade faislon mai uski baaton ka wajan badhne laga hai,
Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai.

Hamaari mulaakaton ka safar kuch kam hi raha hai,
Kyunki sapnon ke tootne ka darr zyaada raha hai
Usse zaahir karne ka tareeka hi nhn dhoonda hai kyunki ek sacche dost ko khone ka khauf laga raha hai
Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai.

Woh dost se zyaada humdard ban gaya hai
Par yeh bayaan karna bhi mushkil ho gaya hai
Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai

Lekin ab sahi waqt ka intezaar nahin karna hai
Unkahe sawaalon se khud ko pareshaan nahin karna hai
Aur keh dena hai ussey ki yeh shayad nhn haqeeqat hai ki iss dil ko usi se pyaar hone laga hai.

Aur keh dena hai ussey ki yeh shayad nhn haqeeqat hai ki iss dil ko usi se pyaar hone laga hai. "Let's get your emotions heard without letting him known"

"Let's get your emotions heard without letting him known"

8bfa87498cac0863a592e533f370e47d

Khwabeeda

Jab hume khud se hi qurbat hone lage
Jab ek unkahi justajoo si mehsoos hone lage
Jab hum kisi ki naadaniyon se khud ko iztiraar sa mehsoos karne lage,
Jab saazishein dil ek shiddat bhari chahat ki karne lage aur lafzon mai shayari bayan hone lage,
Jab yeh dil ka awaam mehkne lage aur kisi ko dhoondhte dhoondhte hum khud hi ko dhoondhle,
Jab yeh tanhaiyon ka aalam bhi kisi ke ehsaas se khoobsurat lagne lage aur bekaraari bhi sukoon bhare karaar mai tabdeel hone lage,
Aur ek nayaab sa rishta har kisi ke saath judne lage, 

Kaise hi zaahir kare tumhe ki,
Kuch isi tarah se hum mehsoos karne lage aur unkahe ehsaas mai bandhne lage, tumhe apne khwaabon ka tabeer samjhne lage aur tumhari hi noorani shaksiyat ko apna humraaz samjhne lage, jab baaton ke silsile badhne lage. The right person can provide you a way to know your unknown "True Identity"

The right person can provide you a way to know your unknown "True Identity"

About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile