Nojoto: Largest Storytelling Platform
aaishaabrar0838
  • 3Stories
  • 10Followers
  • 16Love
    0Views

Aaisha Abrar

  • Popular
  • Latest
  • Video
8dc1c192ba1c357d54caf1391e704646

Aaisha Abrar

Maine apni Zinadgi me ek hadsaa dekha... 
Ek ladki thi bahot pyari si
Bahot Sachchi 
Fir ek din aaya zamane ne use Maar dala 
Ab wo Mar gayi hai Aur log ab use dunda karte hain ki Wo jo ek pyari si ladki hua karti thi Wo kahan hai ab
Maine logon se kah diya ki wo ab nahi rahi use mare hue ek arsaa guzar gaya... inner voice 
Aksar log kisi ke khtm ho jane ke bad hi Uski ahmiyat samjh pate hain 
#nojoto 
#innerfeelings
#myquotes

inner voice Aksar log kisi ke khtm ho jane ke bad hi Uski ahmiyat samjh pate hain #Nojoto #innerfeelings #myquotes

8dc1c192ba1c357d54caf1391e704646

Aaisha Abrar

Raat hai 
Main hun Aur khamoshi hai lekin ye Aisi khamoshi hai jo Sirf dusron ko khamoshi lagti hai Mujhe to isme chikhen sunayi deti hain dard sunayi deti hai karah sunayi deti hai
Ye meri chikhen hain mere dard hain meri karah hai jab itni Khamoshi me main aaine me khud ko Dekhti hun khaufzada Ho jati hun mujhe mere chehre pe wo kharochen nazar aane lagti hain jo koi nahi dekh pata 
Kya ye mera chehra hai?? 
Kya log is chehre ko khubsurt Kahte hain 
Main to khud ko Dekh ke khauf me Aagyi hun fir soch rahi hun ki ye kharochen kaise aayi hain?? 
Kisne di hain ye kharochen mujhe
Fir aaine me ek ke bad ek hazaron chehre nazar aane lage 
Main ghabra gayi maine aainaa Tod dala 
Wo log Mujhpe Hans rahe the 
Meri taklifon se maza le rahe the 
To Maine aainaa Tod dala ab Uske tutne ki Aawaz se unlogon ki aawzen dab gayi jo Mujhe Dara rahi thi 
Mujhe dar hai ye log ek roz Mujhe Maar dalenge... 
Inki di hui ye kharochen mujhe Zra Zra kar ke Maar dalengi
Main Mar hi to rahi hun lekin afsos bas ye hai ki raat ke usi paher ye dard Zahir hote hain jab dekhne wala koi nahi hota 
Kisse shikayat Karun ki ye hi wo log hain jinhone mujhe Tod dala hai or main ab bhi Zindaa hun najane kab tak rahun.. lonliness 
Raat hai 
Main hun Aur khamoshi hai lekin ye Aisi khamoshi hai jo Sirf dusron ko khamoshi lagti hai Mujhe to isme chikhen sunayi deti hain dard sunayi deti hai karah sunayi deti hai
Ye meri chikhen hain mere dard hain meri karah hai jab itni Khamoshi me main aaine me khud ko Dekhti hun khaufzada Ho jati hun mujhe mere chehre pe wo kharochen nazar aane lagti hain jo koi nahi dekh pata 
Kya ye mera chehra hai?? 
Kya log is chehre ko khubsurt Kahte hain 
Main to khud ko Dekh ke khauf me Aagyi hun fir soch rahi hun ki ye kharochen kaise aayi hain?? 
Kisne di hain ye kharochen mujhe

lonliness Raat hai Main hun Aur khamoshi hai lekin ye Aisi khamoshi hai jo Sirf dusron ko khamoshi lagti hai Mujhe to isme chikhen sunayi deti hain dard sunayi deti hai karah sunayi deti hai Ye meri chikhen hain mere dard hain meri karah hai jab itni Khamoshi me main aaine me khud ko Dekhti hun khaufzada Ho jati hun mujhe mere chehre pe wo kharochen nazar aane lagti hain jo koi nahi dekh pata Kya ye mera chehra hai?? Kya log is chehre ko khubsurt Kahte hain Main to khud ko Dekh ke khauf me Aagyi hun fir soch rahi hun ki ye kharochen kaise aayi hain?? Kisne di hain ye kharochen mujhe #Loneliness #Dard

8dc1c192ba1c357d54caf1391e704646

Aaisha Abrar

Raat ke is paher jab log khawabon me mashghool hain 
main khud ko talashne Nikli hun khidki ke Bahar ek thanda sa sukoon hai ek Khamoshi hai aasman pe chand pure Shabab ke sath Raushan hai 
mere Bahar Sab kuch khubsurt hai or mere Andar ek toofan Utha hai 
Sara din ek jhuti muskurahat honton pe sajaye main Thak si jati hun ye wo waqt hota hai jab mujhme se main Bahar aati hun loneliness 
main janti hun ek hath hai jo Mujhe toot ke bikharne se rok Sakta hai lekin abhi main toot Jana chahti hun
#nojoto 
#lonliness 
#dad
#tanhyai 
#raat

loneliness main janti hun ek hath hai jo Mujhe toot ke bikharne se rok Sakta hai lekin abhi main toot Jana chahti hun #Nojoto #lonliness #dad #tanhyai #Raat


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile