Nojoto: Largest Storytelling Platform
sayedtahasir7524
  • 186Stories
  • 127Followers
  • 1.8KLove
    635Views

Meer Allahabadi

I am a teacher by profession and philosopher by passion I write poems particularly in urdu with a pet name Meer Allahabadi.

  • Popular
  • Latest
  • Video
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Banda hoon tujhse tera karam chahta hoon.
khati hoon sarapa raham chahta hoon.
ata kar mujhe qurbat-o-maarifat-e-baari-taala
main dono jahan ki falah chahta hoon.

Main taalib hoon ilm o feham ka zaroor.
saail hoon hiqmat ka qalam chahta hoon.
tu laga de mujhe apni raah me faqat.
khadim hoon tera alam chahta hoon.

Bana mujhe asbaab islaah-e-bani aadam.
ata kar balaghat main difa chahta hoon.
fiza me aman dilon me sukoon.
main raah-e-khuda me jafa chahta hoon.

Jaahil ke shar se bacha mujhe maula.
main fitno se teri panaah chahta hoon.
tere noor se roshan ho fiqr meri.
main to bas ummat ka bhala chahta hoon.

©Meer Allahabadi #GoodMorning  motivational shayari Islam

#GoodMorning motivational shayari Islam

94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Zindagi manind shajar daraaz karti hai.
ye parindon jaisy parwaaz karti hai.

Kuch bhi yahan kabhi yaqsa nahi rahta.
kabhi hamiz to kabhi shiraaz karti hai.

Aaj ameer to kal faqeer bante rahte hai.
ye jisko chahti hai sarfaraaz karti hai.

Hisaar me rahte hai ban kar kaidy yahan log.
ye inki bebasi par muhaz karti hai.

Samajhna samjhana yahan chalta rahta hai.
ye thamti nahi musalsal faraaz karti hai.

Jo kuch chaho jaisa chaho karte raho meer.
ye kahan kisi par kabhi aetraaz karti hai.

©Meer Allahabadi #love_shayari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Zindagi manind shajar daraaz karti hai.
ye parindon jaisy parwaaz karti hai.

Kuch bhi yahan kabhi yaqsa nahi rahta.
kabhi hamiz to kabhi shiraaz karti hai.

Aaj ameer to kal faqeer bante rahte hai.
ye jisko chahti hai sarfaraaz karti hai.

Hisaar me rahte hai ban kar kaidy yahan log.
ye inki bebasi par muhaz karti hai.

Samajhna samjhana yahan chalta rahta hai.
ye thamti nahi musalsal faraaz karti hai.

Jo kuch chaho jaisa chaho karte raho meer.
ye kahan kisi par kabhi aetraaz karti hai.

©Meer Allahabadi #love_shayari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Tere ishq me is tarah dhal sa gaya hoon.
log kahte hai main badal sa gaya hoon.

Bahut waqt to nahi guzra tere saaye me.
magar mere mayaar se nikal sa gaya hoon.

Ahsaan hai tera jo tune chuna mujhe humsafar.
main is khushgawari me jaise khil sa gaya hoon.

Aayi ho ban kar rahmat misl-e-mariyam is tarah.
main is ata-e-saani par sambhal sa gaya hoon.

Alfaaz kahan se laon teri taareef ke ae sanam.
main shaistagi par teri machal sa gaya hoon.

Mujhe ahsaas nahi raha tujhse milne ke baad.
ye to log kahte hai main badal sa gaya hoon.

©Meer Allahabadi #love_shayari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Mujhse meri khamoshi ki wajah poochte ho.
tum kaidy se uski saza poochte ho.

Israar kya kare khata pe hum magar.
sab jaante ho kyun bewajah poochte ho.

Maukoof to na tha meri ruswai ka sabab.
kyun mujhse tum meri nizaa poochte ho.

Madfoon hai muddat se bojh tale hum.
humne kyun lagayi ye nida poochte ho.

Haal-e-zaahir tha meri wafaon ka sila.
hum par kyun chai ye fiza poochte ho.

Ek waqt tha wo paikar-e-ismat thi meri meer.
kadmon tale raundi hui qisa poochte ho.

©Meer Allahabadi #Sad_Status
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

Hussain par rone ko biddat samajhte ho.
laanat hai ye khuda ki jise middhat samajhte ho. 

Shajra dekho tum zaroor la-een se milega.
kirdaar um ka bint-e-utba khoon farzand se milega.

Azaab tumhara muqaddar mashqooq nasal hai.
Ali se jalne walo tumhari yahi asal hai.

Kya kahe tumhe ke tum par tauq pad gaya.
jahannami hua wo jo bughz-e-haidar pe ad gaya.

Jaahil tumhari naslon me tawatur se aa rahe.
kazzab tumhare peshwa jo deen sikha rahe.

Bas kuch waqt aur sahi wo din bhi aa rahe.
wo dekho isa ibn-e-maroyam syaah alam utha rahe. 

Duniya bhi legi chain ki saans kufr-o-nifaaq se.
maula bhar denge jahan ko adl-o-insaaf se.

Qisaas liya jayega us din zaalim-o-khaain se.
bhagaude rafz karenge tab apne jaraim se.

Mauqa hai ab bhi tauba tabarra kar lo tum.
raah-e-haq faqat Ali hai aao ruju kar lo tum.

©Meer Allahabadi
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Sookhe hue lab ye khali larazte haath.
sahma hua dil aur ye shikasta zaat.
ghaur jo karo to ye kalaam karti hai.
bhoole hue falsafe aam karti hai.

Umeeden tooti hui ye bujhe hue jazbaat.
muntazir bayaan ko hai ek ankahi si baat.
Mujhse meri khalwat aksar sawaal karti hai.
bewajah hi khamakha malaal karti hai.

Ye mutamanni aankhen aur wasl ki raat.
kisi se kya chupa hai na waqt na haalaat.
Wo faqat hume dikhane ko jalaal karti hai.
haraam hai jo sheh use halaal karti hai.

Hai makrooz saansen chidhe hue afraat.
besabr se dikh rahe khud ahl-e-mohtaat.
bole jo agar to lisaan kamaal karti hai.
jo saqit rahti hai jeena muhaal karti hai.

©Meer Allahabadi #sad_shayari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Tafseel kya likhon qissa mahdood hai bahut.
haan wo mujhe mahboob hai bahut.

Rahbar hai mera wo mujhse pyaar karta hai.
agar-che zamane se maukoof hai bahut.

Mujhse na poocho had ehsaas ki magar.
wo tamaam tar sheh se marghoob hai bahut.

Wo duniya se bada azeeztar hai mujhe.
dil uske liye mera mazoor hai bahut.

Ilm hai use mere jazbaaton ka ae meer.
wo mere liye rab ka mashkoor hai bahut.

Rahmat hai sarapa rahmat hai uski zaat.
wo mere marhalon me mansoor hai bahut.

©Meer Allahabadi #short_shyari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Kahne ko kai rishte hai apne bhi duniya me.
dekhon agar mujhe to shaad nazar aate hai.

Hamdard to nazar aate hai ba-zaahir me sabhi.
mauke par khade bas ek aad nazar aate hai.

Aafiyat ki umeed karoon agar bhi to kinse.
jo badan me misle mawaad nazar aate hai.

Milte hai jo mahfil me bade ikhlaaq se aaj.
neeyat me nifaaq-o-mafaad nazar aate hai.

Shaf-faaq libaas aala khushboo zewar zeb-e-tan.
kalaam kare to ba-khuda ajdaad nazar aate hai.

Dhoka na khana inke zahir se tum ae meer.
ye mehaz apni duniya me abaad nazar aate hai.

©Meer Allahabadi #good_evening_images
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Umeed kya kare ke toot jaati hai.
Bila wajah hi qismat rooth jati hai.

Koi bataye mujhe akhir kya hai mera kasoor.
Main haath badhata hoon sabeele chooth jati hai.

Badi mushkil se bacha rakhi hai yaad seene me.
Wo ek nazar mere dafeene loot jati hai
 
Ehsaas jo baqi hai dil me ab abhi mere liye.
Ghubaar to uthta hai agar-che ghoont jati hai.

Riha karoge kab mujhe is zindaan se aakhir tum.
Barso ho gaye meri zabaan suqoot chahti hai.

Umr bhar jiye isi kashmakash me hum.
Wo mujhse apne kaun se huqooq chahti hai.

©Meer Allahabadi #rajdhani_night
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile