Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best kayenatdiaries Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best kayenatdiaries Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about a kay the lost life, a kay new song video, jordan song by a kay, a kay new song, a kay new song tait goriye,

  • 1 Followers
  • 13 Stories

Kayenat Kamal

Suno, Kya sunoge tum bas meri nigahon ko, 
Bina mere lab khole, bina koi kahani bole? 
Ya phir sun liya hai tumne wo jo maine kaha hi nahi? 

Yun to dil ke tukde hain hazaar, 
Dil ke dar o deewar se rissta hai har zakhm, lekin main aksar sochti hoon kya tum jhaank kar andar aane mein marghoob (interested) hoge ya jhaank kar faraar to na hoge? 

Ye dil ek weeran imarat hai jo islaah (repair) nahi tumhari rafaqat (company) chahta hai. 
Ye sunna chahta hai ki ye weeran imarat ab bhi shaad ho sakti hai. 
Kuch naqsh hai ab bhi jinka nishaa'n mitaya ja sakta hai. 
Zarar (loss) bada hai magar buniyaad ab bhi qayam hai. 

Suno, Kya dekhoge tum bas mujhko aur kahoge mujhse ye muskaan hasee'n to hai magar makhsoos nahi. 
Haan makhsoos kuch hai gar to ye zakhm jo tumne haasil kiye hain, odhe nahi. 
Ya phir jaante ho tum ki mera dikhna aur hona mukhtalif hai. 

Shayad maloom hai tumhein meri nazmein mere khayalon ki Parda poshi karti hai. 
Shayad maloom hai tumhein ye Hansi Lahaasil azmaish hai khudko khudse chhupane ki. 
Kya kahoge tum mujhse apna mukhauta utaar aaina dekhun main aur dekhun faqat khudko ki main Rukh e aeza (face of pain) hoon  — Shagaafon (crack) sa, Kharaashon  (scratch) sa — Kharaash  jo Dilkash hai, Mohabbat hai. 

@Kayenat Kamal. #kayenatdiaries 

#peace

Kayenat Kamal

Ek aur Shaam dhal gayi tere aghosh ki mehroomi mein, 
Dil ko phir se kayi qisso'n ne gheir liya. #kayenatdiaries 
#DawnSun

Kayenat Kamal

Dua
Ae Ilahi fariyad tujhse iss zameen ko hamdard kar de. 
Jhatpatata har shaks jo hai, usko pursukoon kar de. 
Har badan ki thartharahat zalzalo'n si ho chali hai. 
Kehkahati hasraton ko phir se tu maqbool kar de. 
Ghurbaton ki bastiyon mein zulmato'n ko noor kar de. 
Iss Waba (epidemic) ki kaifiyat se Bani Aadam ko tu mehfooz kar de. 
Jo masfi (sweeper) hai, tabeeb (doctor) jo hai, har hunar ke naaz hai jo, 
Chhed de phir iss hawa se wo hi purana saaz kar de. 
Tifl bhi na jisne bakshe, aisa phailaai marz hai ye. 
Hai siyasat koi isme ya tera koi karz hai ye. 
Mazloomiyat ki har ibarat ko jala kar raakh kar de, 
Makhlooq ko tu apne ab gunah se paak kar de. 
Ye jo shikasta gumbadein hain in surato'n ko ba-haal kar de. 
Tu khila de har gulo'n ko, 
Ye gulista'n  phir shaad kar de. 
Lekin Ilahi mere, ajizi hai tujhse iss dafa hausla passt na ho, 
Yun jaga imaan ke har dhool ko ab takht kar de. 

© Kayenat Kamal. Dua. 
#kayenatdiaries
#lockdown

Kayenat Kamal

#kayenatdiaries shinakht #poem

read more
Shinakht
Tu kaun hai, teri shinakht hai kya? 
Band kamron se purani koi pehchan hai kya? 
Tanha hai tu iss kamre ki veerani mein, 
Chehre ko utaarne se ab bhi tujhe inkaar hai kya? 
Ye log jo tujhe tilism- purfan samajhte hain, 
Koi bharam hai inka ya tu waqai nayab hai kya? 
Qurbaniyon ka inaam hai tu ya khudparasti ki misaal hai kya? 
Danishmando'n mein tera zikr kare koi tu iski haqdaar hai kya? 
Ye haseen - o-jameili kis kaam ki jab dil khalishon se hai bhara.
Khudmukhtari ki sardar hai tu ya ghum tera koi dildaar hai kya? 
Qurbaton ki tamanna mein hui hai ik umr ravaa, 
Tujhe tera bhi koi ehsaas hai kya? 
Kisi ki ashnayi pe bada guroor tha tujhe, tere khaas hone ka bada suroor tha tujhe. 
Kaun kehta hai Kamil hai tu? 
Khamiyon ka ik majmua hai bas. 
Ab bhi ana urooj pe hai, ya dil mein koi ghubaar hai kya? 
Ae naadaa'n do ghadi thehar to sahi, 
Zara qarz adaa to kar apne wajood ka, 
Shayad ho maloom zindagi koi su'ud hai kya? 

© Kayenat Kamal. #kayenatdiaries
shinakht

Kayenat Kamal

Ik ghalti hai jo har baar kiye jaa rahe hain. 
Kaun hai qaabil aur khatir kiske jiye jaa rahe hain.

-kayenat kamal. #kayenatdiaries#

Kayenat Kamal

Ghar mein Musafir. #kayenatdiaries#🥰 #poem

read more
Ghar mein Musafir. 

Ghar mein reh kar bhi ik kashmakash mein raha, 
Wo shaks jo musalsal safar mein raha. 
Darwazon se nikalte hi muhajir sa hua, 
Apni faqeeri ka wo khud hi mujaavir sa hua. 
Chalne ka hausla nahi rukna muhaal kar diya, 
Bemuravvat iss shart - e - safar ne use nidhaal kar diya. 
Khoye huon ki aarzoo taa - umr wo karta raha. 
Tav -e - mehtaab ban kar har shab phir bhi chamakta raha. 
Is baya'nba'n mein bhooli bisri yaadon sa raha. 
Wo sheher mein apne yun begaano'n sa raha. 
Khushk patton ki tarah jism uda jata hai, 
Ghar kareeb tha phir bhi musafirat mein raha. 
Shaakh -e -Gul ko kar viraa'n saraye mein aa baitha hai, 
Chand lamhon ke liye bhi wo manazir na raha. 
Tishnagi hai safar ki ya kisi gunahon ki saza, 
Wo kuaa'n sookh gaya wo jiska muntazir sa raha. 

@ Kayenat Kamal. Ghar mein Musafir. 
#kayenatdiaries#🥰

Kayenat Kamal

Kashmakash

Khwahishon -o-hajaaton ki kashmakash hai zindagi. 
Sarshariyon mein ghum guzar rahi hai zindagi. 
Naa jaane kitni hi musafatein chooki hai dil ki, 
Phir bhi apni raftaar se chal rahi hai zindagi. 
Sukoon chahiye tha mujhe ghar mein mere, maine hai cheezein zaruraton ki bhar li. 
Kahin ji lagayi umeedein kisise, takleefein kaanta ban kar hai chubhi, 
Aabla ban kar hai dukhi. 
Magar ye zindagi na thami, na ruki. 
Yun bhi laga kabhi Qurbaniyan ka Sila hai zindagi, 
Aur yun ki naqamiyon ki wajah hai zindagi. 
Ik humsafar ki talaash thi safar mein mujhe, lekin usne bhi baatein hai bichhadne ki kahi. 
Dooriyaan, majbooriyaan, tanhaiyaan —— 
      Shayad isi ka hi naam hai Zindagi. #international_womens_day 
#kayenatdiaries#

Kayenat Kamal

Reit ki deewar. #kayenatdiaries# #poem

read more
Reit ki deewar

Bewafa kahoon tujhe ya sang dili ka khitaab doon.
Ya naa- qaabil-e- aitbaar keh ke bas ik baar nawaaz doon.
Tu to mere aziz-o-tar se zyada aziz tha mujhe,
Teri mukhlisi ka behadd yakee'n tha mujhe.
Phir bata dil azari ka kaise tujhpe ilzaam doon.
Wada-e-khalqi sukoon deta hai kya?
Etemaad mein izafa-e-junoon deta hai kya?
Ab tasadum ye hai ke naam-e-mohabbat pe roun ya anjaam pe hans doon.
Belouss mohabbat ke tassawwur-o-khayal pe hans doon.
Balafz tere muqammal ghazal thi main,
Tere baab-e-ishq ka tarasha kamal thi main.
Jaanti hoon mamooli hoon, ab makhsoos nahi main.
Meyaar-e-khabton mein hoon, na ab Dana rahi main.
Phir kyun tujhpe chahat apni main vaar doon.
Majbooriyon ka haath thamey mohabbat chhod di tune.
"Talkh halaaton mein hoon uljha"-keh ke raghbat chhod di tune.
Ab sochti hoon main bhi kam zarf hone ka tajarba kar hi loon.
Hubaab-e-hawas ban dil ko bhar hi loon.
Teri talkhiyan tujhe hi lauta ke khaas-o-aam ke darmiyan khada kar hi doon.
Ab waadein khalq kar doon, jazbaton ko ghark kar doon..
Khudgharzi ki hadd ban jaoon.
Usoolon ko tarq kar doon.
Main ho jaoon aseer-e-zabt,
Yun tamam nafs-e-jurm se khudko riha kar doon.
Malaal-e-dil ko alvida kar doon.
       ....kyuki main ab reit ki deewar nahi ban sakti; 
Mujhe toot jaane se khauf aata hai.

©️kayenat kamal. Reit ki deewar. 
#kayenatdiaries#

Kayenat Kamal

I am not a wife material. #kayenatdiaries# 👍

read more
Yes, I am not a 'Wife Material '.
Instead I am woman 'Imperial '.
I am not born to be a wife.
Its a choice to make unbind.
I am born to be an artist, for painting the 'Pink' sky.
I could be a singer to feel out and fly.
Thousands of options I have, to go by.
I am not born to be his convenience.
Neither to massage his ego.
I am not born to drown my identity, so I could comply.
I could be unruly, I could be false.
I could be just so ' Me' and that is 'All'.
I refuse the want of a 'decent guy', 
if to him my passions are inferior and allay.
So i take the offence of not being a wife material.
I am girl boss material. 
I am ambitious leader material. 
I am rational striking material. 
I am free spirited fervent material. 
I am 'never - say - die' fighter material. 
But yes, I am not a wife material. 
And I don't clutch any apology to rectify. 

©️ Kayenat Kamal I am not a wife material. 
#kayenatdiaries# 👍

Kayenat Kamal

#kayenatdiaries#

read more
Baam - e - rifaaqat mein teri Umr tamaam karte.
Zara jo hausla milta hum bhi deewano sa kaam karte.

Aakhir toh kisi roz karegi nazar wafa,
Isi khayal se Kisht - e - viraa'n mein umeedon ka jaam bharte. #kayenatdiaries#
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile