Raat hai Main hun Aur khamoshi hai lekin ye Aisi khamoshi hai jo Sirf dusron ko khamoshi lagti hai Mujhe to isme chikhen sunayi deti hain dard sunayi deti hai karah sunayi deti hai Ye meri chikhen hain mere dard hain meri karah hai jab itni Khamoshi me main aaine me khud ko Dekhti hun khaufzada Ho jati hun mujhe mere chehre pe wo kharochen nazar aane lagti hain jo koi nahi dekh pata Kya ye mera chehra hai?? Kya log is chehre ko khubsurt Kahte hain Main to khud ko Dekh ke khauf me Aagyi hun fir soch rahi hun ki ye kharochen kaise aayi hain?? Kisne di hain ye kharochen mujhe Fir aaine me ek ke bad ek hazaron chehre nazar aane lage Main ghabra gayi maine aainaa Tod dala Wo log Mujhpe Hans rahe the Meri taklifon se maza le rahe the To Maine aainaa Tod dala ab Uske tutne ki Aawaz se unlogon ki aawzen dab gayi jo Mujhe Dara rahi thi Mujhe dar hai ye log ek roz Mujhe Maar dalenge... Inki di hui ye kharochen mujhe Zra Zra kar ke Maar dalengi Main Mar hi to rahi hun lekin afsos bas ye hai ki raat ke usi paher ye dard Zahir hote hain jab dekhne wala koi nahi hota Kisse shikayat Karun ki ye hi wo log hain jinhone mujhe Tod dala hai or main ab bhi Zindaa hun najane kab tak rahun.. lonliness Raat hai Main hun Aur khamoshi hai lekin ye Aisi khamoshi hai jo Sirf dusron ko khamoshi lagti hai Mujhe to isme chikhen sunayi deti hain dard sunayi deti hai karah sunayi deti hai Ye meri chikhen hain mere dard hain meri karah hai jab itni Khamoshi me main aaine me khud ko Dekhti hun khaufzada Ho jati hun mujhe mere chehre pe wo kharochen nazar aane lagti hain jo koi nahi dekh pata Kya ye mera chehra hai?? Kya log is chehre ko khubsurt Kahte hain Main to khud ko Dekh ke khauf me Aagyi hun fir soch rahi hun ki ye kharochen kaise aayi hain?? Kisne di hain ye kharochen mujhe