Nojoto: Largest Storytelling Platform

White Nazariya Badal Kar Dekho Manzil jarur nazar

White Nazariya Badal Kar Dekho

Manzil jarur nazar aayegi, nazariya badal kar dekho,
Har mushkil aasan ban jayegi, koshish kar ke toh dekho.

Jab dhoondho raaste apne, toh andheron mein bhi roshni milegi,
Agar apni soch ko badloge, toh har raat sukoon se bhari milegi.

Manzil ki chaah mein rukaavat aayegi,
Par apne iraadon se, har deewaar tut jaayegi.

Dil mein umeed ho, toh zindagi rangon se sajti hai,
Nazariya badal kar, har subah ek nayi kahani sunati hai.

Manzil jarur nazar aayegi, jab apna hausla jagaoge,
Iraadon ko hauslon se sajaoge, toh mushkil ko aasan paaoge.

©Diksha the Poet Beginner #poerty #motivate #Najariya