Nojoto: Largest Storytelling Platform
dikshathepoetbeg9398
  • 29Stories
  • 15Followers
  • 273Love
    0Views

Diksha the Poet Beginner

Jo bhi jasbat hai dil me byan kar dijiye... dil me daba kar rakhonge to jina muskil ho jayenga...❤❤ Facebook page: Diksha the poet beginner

https://youtube.com/channel/UCgr7MxUMC1bTV6_uFyrWESg

  • Popular
  • Latest
  • Video
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

White Sabse khubsurat insan dekhna hai
To aayina dekh lo...

Samazhna aaye kuch bhi
To khudse baatein kar lo..

Tum ko tum hi jada jante ho
Kabhi khudse khud ki mulakat kar lo..

©Diksha the Poet Beginner #loveyourself 

#Sad_shayri
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Teri yaad , ibaadat meri
Tera saath, khushnaseebi meri
Tera muskurana, chahat meri
Tera shukrana, kismat meri
Teri aavaj, azaan meri
Teri baatein, sukoon meri
Teri maasumiyat, khushiya meri
Tera ghussa, khairiyat meri
Tera pyar, duniya meri..

©Diksha the Poet Beginner mylove

mylove #Love

ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Kisi bhi sundar murti ki prashansa karte samay use bnane vale ki prashansa karna na bhule...
Usi hi trha apke safalta pane k bad unko jarur yad rakhiye jo apke bure waqt me apke sath the...











Don't forget those who were there with you in your bad time, who was having faith in you and your capabilities.

©Diksha the Poet Beginner #Bethankful 

#walkingalone
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Ek rupaye se jinhone lakho kmaya hai
Vo mere papa hai jinhone 
Mitti ki zhopdi ko
Ek Mahal bnaya hai..

Khwahishe unki bhi thi..
Kwab unhone bhi dekhe the
Vahi sapna aj unhone apne
Bachhoke aankon se sjaya hai..

Hath pakad kar chalna sikhaye
Gir gye to uthna sikhaye
Chhote lagi bohot par
Apne uspar pyar ka marham lgaya hai..

Apke bina jindagi kya hai
Smazh nhi pate hum
Raste to bohot the 
Kahi par bhi bhatak jate hum

Bhatakte kaise har pal ap sath ho
Mahyus huye to humesha ap pas ho
Galti par dat dena magar
Ap humse kabhi dur mat hona..

Bhagvan ne ek anmol tofa diye hai
Ap jaise papa hume mile hai
Jindagi bhar apke saye me chalenge
Apke jaise pita kisiko nhi milenge...

Khud bhukhe rhe par
Apne hume khilaya hai
Ratbhar jagte rahe par
Apni godd me apne hume sulaya hai...

Ap ho to sabkuch aasan hai
Shakshat bhagvan humare pas hai
Duaa karenge ap humesha muskurate rahe
Jindagi bhar ap humare pas rahe...

-Diksha
19/06/2022

©Diksha the Poet Beginner #Papa 

#foryoupapa
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Aaj maine ek sapna 
Haqiqat bante dekha hai...
Jis bagiya k ful bankar hum lahrate the..
Aaj dusre fulon ko lahrate huye dekha hai...

Koshish yahi thi k
Unke hasi ko na me rok pau..
Unki sapno ki udano k 
Pankh unhe de jau..

Bade jor se yad aaye vo lamhe
Mere hath pakad kar jaise vo thme the..
Socha vapas vahi thahar jau...
Us Mali k bagiya me vapas bas jau..

Farak bas itna tha ki aaj
Ped bakar paudho ki pariksha le rhe the..
Humare anubhavo k kisse
Hum unhe suna rahe the...

Bachhe bole ma'am ap 
Humari takat ban jao...
Jis aasman me ap ud rahe ho...
Vha hume bhi sath lekar jao...

Humne kaha hum unhiko
Sath lekar jayenge..
Jiski soch me bulandi aur
Aur aasman chune ka hunar honga...

Baki to jo bhi honga
Na me rok paungi aur na koyi..
Jo honga so honga
Jo bhi honga manjure khuda honga..

©Diksha the Poet Beginner #Dream 
#MyThoughts 
#mystory 

#Thoughts
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Tadapti dhup me, pasine se hai nhaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Ek waqt ki roti k liye,dinbhar hal chalaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Pairo me pade chale,jo katonse na ghabraya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Kandhe par dhho kar boz,shaktishali kahlaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Patthar todkar jisne,rasta hai bnaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Dard me tha shari, jo uff tak na kah paya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Divaropar kar k karagiri,jisne itihas rachaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

Dharti bani chatayi,aasman ko chadar bnaya
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..
 
Sar jhuka kar naman karte hai use 
Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya..

©Diksha the Poet Beginner #hardwork
#worker
#majdur
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

क्या हुआ आज वक्त अपने साथ नहीं,
सूरज कल भी निकलेगा।
आज चांद तारो के सहारे सही,
ख्वाबों का आसमान फिर चमकेगा।

समय है एक चलता मुसाफिर,
उसे कोन रोक पाया है। 
आज किसी और का है,
कल अपना भी आएगा।

छोटी सी जिंदगी में,
मुसीबतों का घेरा है।
आज दुखोंकी रात सही
कल खुशियों का सवेरा है।

खूबसूरत गुलाब क्या कभी,
काटो के बिना खिल पाया है।
खुशबू उसने उनके हाथों में दी,
जिन हाथों ने उसे मसला है।

हम भी गम नही करेंगे,
सारी जिंदगी होसले से जियेंगे।
नसीब उसका ही बदल पाया है,
जिसे जिंदगी ने हर कदम पर आजमाया है।
 
                                                - दिक्षा 🙂

©Diksha the Poet Beginner #self_motivation 

#Nofear
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Izhar-e-mohobbat



Kash vo din fir laut aaye
Jab tum dekhte the aur
muskura kar chup jate the hum...
Bate to kuch kahte nhi the
Sara khel to najro ka hi tha
Tab juban kaha bat karti thi..

Kash vo din fir laut aaye
Humari rah me tum aur 
tumhari rah me hum
Najre bithaye rahte the
Kissa to sirf ek zalak ka tha
Tab mulakat kaha huaa karti thi...

Kash vo din fir laut aaye
Khwabon me rahte the tum aur
Tumhare khayalo me rahte the hum
Achhe waqt ka intazar karte the
Sukun to sirf yadon me tha
Tab izhar-e-mohobbat kaha huaa karti thi...

©Diksha the Poet Beginner #love❤ 
#MyPoetry 
#MyThoughts
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Me vo aayina hu
Tumhari jindagi ka
Jo aaj chamak rha hai
Kal dhundla pad jayenga..

Me vo waqt hu
Tumhari jindagi ka
Jo aaj sirf mera hai
Kal koyi aur le jayenga..

Me vo takiya hu
tumhare bistar ka
Jise lekar hi tumhe
Roj nind aayengi..

Me vo itra hu 
Tumhari Jindagi ka
Jiski Mahak aaj hai aur
Mere sath hi chali jayengi..

©Diksha the Poet Beginner #DearDost #MyPoetry #MyThoughts
ab402ac57276a81762d44e255c7c342c

Diksha the Poet Beginner

Jindagi ek pani ka dariyaa hai
Aur Jivan rango ka mela
Jo bhi rang pani me milaya
Vo usika ho gya...

Kabhi dukho ka rang hai
To kabhi khushiyon ka rang paya
Jo bhi range sath rehna chaha
Hum ne use apna liya...

Khwahishon ka rang bhi rangin hai
Ummido ko dastak deta hai
Jinse ummid thi vahi sath na the
Bhramon ka aaina tut gaya...

Pyar ka rang bohot gahra hai
Khud ki chahat me hume rang liya
Jab bhi humne aaina dekha
Humdillagi se sara jag pa liya...

©Diksha the Poet Beginner #MyPoetry 
#Rang 

#OneSeason
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile