Nojoto: Largest Storytelling Platform
anupriyarana7095
  • 9Stories
  • 5Followers
  • 60Love
    0Views

Anupriya Rana

  • Popular
  • Latest
  • Video
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

White Sukoon kha hai yeh Sukoon
kya inn baarish ki boondon mai hai 
ya raat ko feli iss chandani mai hai
ya taro  ki timtimahat mai hai 
ya kisi dairy ke yadoon ke kisi pane mai hai
sukoon kha hai yeh sukoon
ye phoolon ki khushboo mai hai 
ya inn bhawro ki gunjan mai hai 
yeh inn sehro ki roshni mai hai
ya inn gaon ki choti galiyo mai hai
inn pahado ki baraf mai hai 
ya iss registan ki reth mai hai 
kha hai sukoon kha hai sukoon
yeh unn biti yadoon mai hai 
ya aane wale bhavishya mai hai 
yeh dil ke kisi kone mai hai
ya kisi masum ki muskurahat mai hai
sukoon kha hai yeh sukoon

©Anupriya Rana #sukoon
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

kuch pane ki chah mai kitna aage nikal aaye hum na chahte hue bhi piche kitna chod aaye hum pehle na jane kitni shikayat thi jindgi se abh tho jindgi khud sikayat si ban gyi hai jis bheed mai kabhi ghuste nhi the aaj uss bheed ke sath kitna aage nikal aaye hum ae jindgi tujhe kitna koste the ki raste dikha hume aaj unhi rasto ka sunapan chubne lga hai hume haste haste na jane kitne gum sath le aaye hum kuch pane ki chah mai kitna aage nikal aaye hum

©Anupriya Rana #Moon
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

Halatho ne kho di iss chehre ki muskan
warna hum jha baitha karte the roonak la diya karte the

©Anupriya Rana #quotes

#Sea

quotes Sea

8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

logo ko lagta hai bda muskurate hai unko kya pta na jane kitna dard iss muskan ke piche chupate hai

©Anupriya Rana #together
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

zindgi ka kaisa imetehan hai dimag aur dil dono ek dusre ke khilaf hai manzil hai bhatki hui rasta dhundhla hai iss zindgi ne na jane kya khel racha hai pal pal katrha hai jaise ho gya ho arsa Zindgi humko hi dikha rhi ho jaise sara khel khud ka  aankhon se pani thamta nhi hai yeh dard abh rukta nhi hai na jane itni bheed mai imtehan hamara hi kyu hota hai baar baar achaiyon ke badle milta hai na jane kyu yeh dard baar baar ae zindgi na jane kismat tu kaisi likhi hai har baar naseeb mai na jane kyu itni thokar likhi hai hoton se muskurate hai na jane kitne dard liye hue jisko koi pechan na paye hum hai wo tute hue

©Anupriya Rana #quotes

#lonely

quotes lonely

8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

kon kehta hai hamesha roshni hi sath deti hai andhera bhi sath deta hai na jane kitne udasi ke pal chupane mai

©Anupriya Rana #FadingAway
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

Alfazo ke seher mai khamoshi padhne wala chaiyea galti dekh kar sath chodhne wala nhi galati btakar sath chalne wala chiyea  hume chand tare todne wala nahi dil se dil tak pahuchne wala chaiyea mehnge tohfe lane wala nhi hume jawani se budhape tak sath nibhane wala chaiyea jiski ek muskuraharat dekh kar bhul jaye sab gum hume aesa hamsafar chaiyea

©Anupriya Rana # Dil se Dil tak # Dil ke alfaz

#Love

# Dil se Dil tak # Dil ke alfaz Love

8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

#FourLinePoetry zindgi ki uljhano mai yuh uljhe se hai hum har roz khud se hi ek nayi jang lad rhe hai hum dil aur dimag ki kuch aese  thani ladai hai dimag bolta hai bhul ja tu iss chiz ko dil ne barabar wo yaad dilai hai

©Anupriya Rana #fourlinepoetry
8cf5999dacc8ea4315dba20f5d23102e

Anupriya Rana

yeh chand aur yeh taare yaad dila jate hai na jane kitne afsane kabhi wo ma ki lori kabhi wo gudgudate afsane jab sath baitha karte the taaron ki chao mai hum bache sare wo tutte taro se mannat mangna wo chand ko apne sath chalta pana kitna masum tha wo bachpan jab chand ko bhi bolte the chanda mama sare yeh chand aur taare yaad dila jate hai na jane kitne afsane

©Anupriya Rana #moonbeauty


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile