Nojoto: Largest Storytelling Platform
shamsher5557
  • 24Stories
  • 64Followers
  • 140Love
    0Views

shamsher

write something for feels whatsupp-9996016988

google.co.in

  • Popular
  • Latest
  • Video
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

"NAHI DEKHA"

Is daur me rah ke bhi
Aapne is jahan ko nahi dekha
Dekhe hai maine kayi log yahan
Magar aap jaisa koi insan nahi dekha
Muskura kar aaye hoge aap is duniya me shayad
Jate jate kisi chehre pe aisi muskan nahi dekha
Mukar jate hai log yaha alfaz -e bayaan dekar
Maine magar aap sa Pak -e juban nahi dekha
Naa sauk koi gaadi ka naa sahara kisi sawari ka
Ak cycle se itni lambi kisi ki udaan nahi dekha
Duniya se koi matlab nahi
Deen ke liye jeena tha
Mast the aap roz- e namazo me hardum
Aapsa koi aisa humne mastan nahi dekha
Yaad rakha jayega dawat-e qalam aapka
Ki humne kabhi aaj tak Hazrat shabiruddin jaisa imaan nahi dekha

©shamsher #WritersSpecial
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Wo garib hai
Wo majdur hai
Chand paiso ke khatir
Apne gharo se wo dur hai
Kabhi khate the pet bhar ke
Apno ko bhi khilate the
Faili zaher si ak hawa yuh
Ki unke chulhe bujh si gayi
Ab khud khane ko 
Wo majbur hai
Wo garib hai
Wo majdur hai
Inhi se chalti thi shehar ke kaam saare
Inhi ki wajah se mashhur huye naam tumhare
Sadak pe pade hai mano inka koi wajud nahi
Arey karib se dekho unko kitne bebas insan hai sare
Bana rakha hai apne gao me ak makan saheb
Bas is shehar me nahi milta ab thhikana saheb
Kis se dikhaye khali pet aur khali jeb saheb
Tum to khushnasib ho mil jata hai tmhe khana saheb
Nind kaha padti hai tere shehar ki sadak pe
Apne gao me wo mitti pe sukun se so jate the saheb
Wo fakir nahi kisi ke aage  bheekh maange saheb
Yeh acha hoga ki ap unko bin mange khana de saheb 
Kyuki wo garib hai
Wo majdur hai 
Wo majbur hai saheb

9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Itne arsho se kaha thi tu mohbbat
Badi muddat se thi teri jarurat
Na aata tha khyal kisi ka na mujhko
Tu mera hai bada malal hai ab mujhko
Hath pakde hai to sath chaliyega
Tanha is safar me na chhor jayiyega
Jana ho beshak to chale jana magar
Khud ko mujh me na chhor jayiyega
Tarife teri jhuthi thi sanam
Ab kisi pe na eitbar kijiyega
Hawa sa tha tu meri saanso me kahi
Ab kisi ke itne karib na jayiyega
Shukriya bahut jo di hai andhere bhar ki zindagi
Shukr hai ab zindagi bhar najar na aayiyega
Mubarak ho apko roshni si yeh zindagi
Dua hai is roshani me jal na jayiyega
Mile the tum to socha aur kya chahiye hoga
Sabke liye khuda par mere liye sirf tu hoga
Nadan thi mohabbat nasamajh the hum
Dil socha shayad ap samjh lijjyega
Yakin tha jispe mera rahega wo sada
Socha na tha aap kisi aur ke ho jayiyega
Tuti huyi khwab tuta sa dil mara sa yeh jaan
Inhe leke aap bas dafna dijiyega
Bas yahi ak ehsan mujh pe kar dijiyega
Koi kar paye meri tarah aapse mohabbat to
Band kar ke aankhe bas uska ho jayiyega

9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Itne arsho se kaha thi tu mohbbat
Badi muddat se thi teri jarurat
Na aata tha khyal kisi ka na mujhko
Tu mera hai bada malal hai ab mujhko
Hath pakde hai to sath chaliyega
Tanha is safar me na chhor jayiyega
Jana ho beshak to chale jana magar
Khud ko mujh me na chhor jayiyega
Tarife teri jhuthi thi sanam
Ab kisi pe na eitbar kijiyega
Hawa sa tha tu meri saanso me kahi
Ab kisi ke itne karib na jayiyega
Shukriya bahut jo di hai andhere bhar ki zindagi
Shukr hai ab zindagi bhar najar na aayiyega
Mubarak ho apko roshni si yeh zindagi
Dua hai is roshani me jal na jayiyega
Mile the tum to socha aur kya chahiye hoga
Sabke liye khuda par mere liye sirf tu hoga
Nadan thi mohabbat nasamajh the hum
Dil socha shayad ap samjh lijjyega
Yakin tha jispe mera rahega wo sada
Socha na tha aap kisi aur ke ho jayiyega
Tuti huyi khwab tuta sa dil mara sa yeh jaan
Inhe leke aap bas dafna dijiyega
Bas yahi ak ehsan mujh pe kar dijiyega
Koi kar paye meri tarah aapse mohabbat to
Band kar ke aankhe bas usi ka ho jayiyega
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Bas kuch dino ki to baat hai
Ghar me raho
Pariwaar sara abhi saath hai
Ghar me raho
Parindey bhi tufan me dete hai aram pankho ko
Yeh mauto ki Barsaat hai
Ghar me raho
Naa bekasur aahein hai naa bekasur hai hum log
Yeh apni hi to karamat hai
Ghar me raho
Insan ne apni aukat dikhayi bahut kudrat ko
Ahm! Yeh kudrat ki aukat hai 
Ghar me raho
Kohram macha hai aspatal me galiya bhi sunsan hai
Chikti suraj ki kiran hai chilati yaha har raat hai
Sabka yahi khayalat hai
Ghar me raho
Har badi baate samajh lete ho asani se
Yeh to bas choti si baat hai
Ghar me raho
Ghar me raho

9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Yeh bhakt hai nahi manenge
Laakh samjhao wo nahi samjhenge
Andhe hai par aankhe khuli hai inki
Aaina sachhayi ki wo nahi dekhenge
Hai bharosha unka ak chowkidar pe bada
Befikr hai wo apna khayal nahi rakhenge
Chahe to padh le wo puri kahani
Par bahut zahil hai wo nahi padhenge
Doobe hai wo nafrato ki sagar me aise
Tairna aata hai unko par bahar nahi nikalenge
Galat ko sahi aur sahi ko bhi galat kehte hai
Aaina rakh do samne wo khud ko nahi pachanenge
Haa me haa milane ki samajhdari hai unhe
Par galat me naa wo kabhi nahi kehenge
Achhayiya banati hai kisi ko apni bhakt
Andhe hai yeh bhakt hum yahi kehenge
Yeh bhakt hai nahi manenge
Laakh samjhao wo nahi samjhenge
Wo nahi samjhenge
Wo nahi manenge
Andhe hai wo sachh me
Andh bhakt hi wo kehlayenge #Friendship
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Ak roshni bujha ke
Fir andhera dikha ke
Ak shaqs ko insan se hata ke 
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Naa ishq tha kisi se
Naa batau mai kisi se
Dil me the khwab dhher sare
Naa dikhau mai kisi se
Mujhse mera arman le gaya 
Ki sar se aasman le gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Kuch karne ka junun tha
Mehnat me hi sukun tha
Uski tezab me hi khun tha
Khun kar ke jo gaya
Ki chhin ke mera naam le gaya
Ki chhappak se pahchan le gaya

Ak roshni bujha ke
Fir andhera dikha ke
Ak shaqs ko insan se hata ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Ak khwab mitaa ke
Fir hosh uddaa ke
Ak raat jalaa ke
Mera sawera le gaya
Ki jism se jaan le gaya
Haa haa haa
Chhappak se pahchan le gaya

Ak uski chal se
Pareshan huyi apni haal se
Jab Nazar aankho se fisal gaya
Ki pairo tale zamin khhichhak gaya 
Ak zindagi muchhak gaya
Jism pe ak daag de gaya
Duppatte sa ak naqab de gaya
Fir hontho se muskan le gaya
Ki chhappak se pahchan le gaya

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya
Haa chappak se pahchan le gaya

9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Ak roshni bujha ke
Fir andhera dikha ke
Ak shaqs ko insan se hata ke 
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Naa ishq tha kisi se
Naa batau mai kisi se
Dil me the khwab dhher sare
Naa dikhau mai kisi se
Mujhse mera arman le gaya 
Ki sar se aasman le gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Kuch karne ka junun tha
Mehnat me hi sukun tha
Uski tezab me hi khun tha
Khun kar ke jo gaya
Ki chhin ke mera naam le gaya
Ki chhappak se pahchan le gaya

Ak roshni bujha ke
Fir andhera dikha ke
Ak shaqs ko insan se hata ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya

Ak khwab mitaa ke
Fir hosh uddaa ke
Ak raat jalaa ke
Mera sawera le gaya
Ki jism se jaan le gaya
Haa haa haa
Chhappak se pahchan le gaya

Ak uski chal se
Pareshan huyi apni haal se
Jab Nazar aankho se fisal gaya
Ki pairo tale zamin khhichhak gaya 
Ak zindagi muchhak gaya
Jism pe ak daag de gaya
Duppatte sa ak naqab de gaya
Fir hontho se muskan le gaya
Ki chhappak se pahchan le gaya

Koi chehra chupa ke
Aur mardangi dikha ke
Apni deewangi jataa ke
Jo gaya
Chhappak se pahchan le gaya
Haa chappak se pahchan le gaya #international_womens_day
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Meri nind ko dikkat
Naa bhajan naa Azan se hai
Fir nafrat kyu kisi ko Hindu aur Musallman se hai
Ak hi gali me padta hai Mandir tera aur Masjid mera
Badi mohabbat mere Allah ko tere Bhagwan se hai
Majhab nahi sikhata aapas me bair rakhna
Yeh baate nikalti Geeta aur Qur'an se hai
Sabhi ke jism me daudta hai ak hi laal khun
Fir kyu itna bhed-bhav insan ko insan se hai
Mere apne hi bhai mujhe desh drohi aur atankwadi bolte h
Naa jane kyu inhe itni nafrat mere naam se hai
Mai galat hu to sirf mujhe hi galat keh
Kyu itni dikkat tumhe mere Islam se hai
Kahi jaye to koi puchta nahi apna majhab
Tera mera taalluk to apne HINDUSTAN se hai
Mat jod mat baant taallukat apni kisi dharm se
Meri dosti avishake,sudhir ankit,panda,vijay,tiwari aur v bahut ache insan se hai
Teri mandir mai banwa du meri masjid tu saja de
Jo lagi hai aag nafrato ki aa mil ke usey bujha de
Rah na jaye daag dilo me nafrato ki
Mil gale is kadar tu mujhse ki is daag ko mita de
Teri mandir mai banwa du meri masjid tu saja de #We_are_all_broken
9231b9d3179bf920968a6fce1cd89f4f

shamsher

Har jagah nazar aata bas yahi ak samachar hai
Apas me ladte insan aur majhabo me failta waar hai
Dushman na hua koi bhi mera is jahan me
Mujhe maarne wale mere Apne hi yaar hai
Jalate hai bastiya meri
Mitate hai hastiya meri
Inki aankho me nafrat ki aag aur haatho me talvar hai
Ajeeb manjar hai yeh ki ab dekha nahi jata
Lafz bahut hai magar zuban khola nahi jata
Takilf sabko hai bayaa kaise kare koi
Yeh aisa dard hai ki ab roya bhi nahi jata
Badi mushkil se ak makan banayi thi maine
Badi mehnat se ak dukan sajayi thi maine
Ab reh hi kya gaya h mera mujh me
Hanshta hu kitni asani se  aag lagayi tumne
Sochta hu aise kaise meri bastiya mitayi tumne
Mujhse ya mere majhab se hai nafrat tujh ko
Mere pehlu me aa ki sikhau mohabbat tujhko
khamoshi se padi thi us gali me ak masjid meri
Khush ho tod ke jala ke mil gayi kya rahat tujhko
Tujhe bhi hak hai ki tu bhi  awaz uthaye "dost"
Magar aise nahi ki tu mera gala dabaye "dost"
Yeh zameen teri to yeh mitti meri hai "dost"
Kyu hum-tum apno ka khun bahaye "dost"
Jaan chali gayi hai na jane kitne apno ki
Mai dafna kar aau aur tu le ja jalaye "dost" #Dwell_in_possibility
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile