Find the Best EPIDEMIC_OF_CORONA Shayari, Status, Quotes from top creators only on Gokahani App. Also find trending photos & videos about
Fahad
CORONA KI WABAA #ghut ghut ke jite hain, jo the kabhi shaan-o-shaukat meiñ, #guzarti hain ab to raatein bhi aalam-e-wahshat meiñ; #qaid ho kar jite hain apne hi gharon ke andar, #kya pataa hameiñ, ke yeh bhi likha tha apni qismat meiñ; #band paraa hai shahar ka shahar aur dukaaneiñ bhi, #kuch tarkeeb nazar aati nahi, ke kya kareiñ aisi soorat meiñ; #band hain woh sarakeiñ, woh karkhaane, woh imaarteiñ bhi, #shumaar tha kabhi jinka, yahaañ ki zeenat mein; #kis qadar phaila hai yeh marz corona ka har taraf, #iss se beemar huye bahut, kayi to pahunch gaye turbat meiñ; #aur yeh jo aafat hai insaanoñ ne hi to bulaayi hai, #chalaa tha naadan karne tabdeeli nizaam-e-qudrat meiñ; #nahi maujood koyi ilaaj iska, haan!! kuchh ehtiyaat kijiye, #aur hargiz na nikaliye ghar se tafreeh ki ulfat meiñ; #aakhir mein dua-go hun uss zaat se, jisne jahaañ banaya, #madad kar har kisi ki, phaseiñ haiñ jo bhi museebat meiñ; #fahad jo likhe jaata hai asha'ar ulajh kar apni sochoñ mein, #nahi hamein koyi bhi shak, uske iss fann ki azmat meiñ; (FAHAD) #POEM_CORONA_KI_WABAA #EPIDEMIC_OF_CORONA #STAY_HOME #STAY_SAFE
About Nojoto | Team Nojoto | Contact Us
Creator Monetization | Creator Academy | Get Famous & Awards | Leaderboard
Terms & Conditions | Privacy Policy | Purchase & Payment Policy Guidelines | DMCA Policy | Directory | Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited